rediff ILAND
Welcome Guest, | Create your own iLand| Sign In  | New User? Get Started
BLOGS
iLand
Blogs
Friends/Contributors
Guestbook  
 
Niraj Gupta
Categories
Blogs
Dancing
Favourites 1
Aik baat kahoon
What is an RSS feed?
RSS Feed 
nirajgupta1984.rediffiland.com/  
Friday 5 December, 2008
 21:57 | 17/Jun/2007 |  3 Comment(s)
  Add Niraj Gupta as Friend     Write to Niraj Gupta     Forward this link
Rista?

Yaadon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai,
Dil kal bhi apna dukhta tha or mayuus sa aaj bhi hai.

Woh ishq jo hum tum karte the woh ishq tu zinda ab bhi hai,
Kal tak jo saaya sataata tha us saaye ka pehra aaj bhi hai.

Tum dur huye majboori mein, hum toot gaye is doori mein,
Kabhi waqt mile to aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai.

Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per,
Woh naam dhdkano par likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai.

Tum khush rehna dil ki duniya apni to chalo barbaad huyee,
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai.

Yeh ashk nahi hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain,
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai.

Ab shikwa kisi se kia karna taqdeer mein jo likha thaa mila,
Gham kal bhi mera sarmaaya tha gham mera wirsa aaj bhi hai.

Category: Blogs | Permalink