|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Ek baar Tujh ko kya dekha................
Ek baar Tujh ko kya dekha Har pal wohi Chehra dekha, Dhadkane Ruk si gayee, Waqt ko Thehra dekha. Ek baar Tujh ko kya dekha Is Dil ko tarasta dekha, Tu jab dheere se muskurai Ek phool ko hasta dekha Ek baar Tujh ko kya dekha Badla sa ye jahan dekha, Zameen kahan thi khabar nahi, Kadmon mai Aasman dekha. Ek baar Tujh ko kya dekha Khud se khud ko juda dekha Yun ruk gayee Tujh per Nazar Jaise aaj Khuda dekha
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Bas itni si inaayat..............
Bas itni si inaayat mujhpe aik baar kijiye kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye ho jaaiye begaane aap shauq se sanam aapkee hun aapkee rahungee aitbaar kijiye parrhne waale hi darr jaayen dekh kar ise kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye in jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye karna hai ishq aapse karte rahenge hum jo bhi karna hai aapko mere sarkaar , kijiye phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate hum pyaar ke bhookhe hain hame pyaar kijiye………….
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Zindgi mai pehli baar
Ek Be-Qarari mai Doob ker Ek Masti main Jhoom ker Mohabbat ne apna Izhaar chaha!
Zindgi mai pehli baar Dil ne kisi ko Dil se chaha!
Khawab bane Aarzoo ki tarha Umeed bani Zindgi ki tarha Her Ehsaas ne Iqraar chaha!
Zindgi mai pehli baar Dil ne kisi ko Dil se chaha!
Aitbaar ka hath thaam ker Yadon ko Hamrah le ker Is Masoom ne be-ikhtiar chaha!
Zindgi mai pehli baar Dil ne kisi ko Dil se chaha!
Ek Khoobsurat Etminaan ki tarha Tum hoye Hamari Duaa ki tarha Hum ne Tumhain Toot ker chaha!
Zindgi mai pehli baar Dil ne kisi ko Dil se chaha!
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Rista?
Yaadon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai, Dil kal bhi apna dukhta tha or mayuus sa aaj bhi hai.
Woh ishq jo hum tum karte the woh ishq tu zinda ab bhi hai, Kal tak jo saaya sataata tha us saaye ka pehra aaj bhi hai.
Tum dur huye majboori mein, hum toot gaye is doori mein, Kabhi waqt mile to aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai.
Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per, Woh naam dhdkano par likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai.
Tum khush rehna dil ki duniya apni to chalo barbaad huyee, Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai.
Yeh ashk nahi hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain, In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai.
Ab shikwa kisi se kia karna taqdeer mein jo likha thaa mila, Gham kal bhi mera sarmaaya tha gham mera wirsa aaj bhi hai.
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Tere LIye
har sham meri ab hai tere liye har lamha bas tere liye sanjo kar rakha hai asman bas tere liye ye chand ye sitare bas tere liye jitne rang ki hain titliyan utni khusiyan tere liye akash jitna pyar tere liye samandar main hain jitni lehre utna pyar tere liye par tum ho sirf mere liye wo bewafa hai todne se pehle dil mera thoda sa zahar de jati todne se pehle dil mera dil todne ki wajah keh jati pyar nahin tha jab dil main tere to kyon mujhe apna kaha. jab kisi or se rista jodna hi tha kyon mujhe dil main rakha kyon joda tha apne naam ke sath naam mera kyon lagaya tha mujhse dil jab dil todna hi tha ye bewafai hai teri ya hai meri kismat kal tak rehthe the jiske dil main aaj us dil main hai kisi or ki surat rehte ho door humse kya ab hum se pyar nahin jaan mang lete hum se agar aajmana hi tha thoda zehar de jaati jab dil tod kar jana hi tha
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Apne Dil Se Kabhi
Lakhon sitam tum hum par karo hum tumse na koi sikwa karenge Hat dhadkan par likh kart era naam saari umrr tujhe pyar-pyar or bas pyar karenge
Kabhi jo main tujhse keh paata pyar hai kitna tumse ye dhiklata chand sitare na de paata par, zindgi se jada tujhko chahta
Tujh ko dhekhenge sitare to jameen ki chahat karenge us chand ko chhod kar tujh ko pane ki kosish karenge
jindgi ki rah par hum koi hum safar na dhund sake ek dost tumko samjha tha par tum meri dosti ko na samajh sake
yadon ke samandar main gamon ka tufan aaya ashkon ki lehar uthi labon par kisi ka naam aaya
has kar bitana un lamhon ko jab tumko sataye koi gam ashk bahana na tum jab na rahen is duniya main hum
ankhon main ansu koi apna de gaya haste hue labon ko mayusi se gaya dil to diya na gaya usse par jate-jate dard-e-dil de gaya
janaja jab nikle mera tumhari gali se khidki khol kar ansu na bahana dil main ho pyar jara bhi to meri kabrr par do fool chada jana
zindgi main kabhi to hame yaad karoge mehfil main nahin to tanhai main yaad karoge hum sa na hai koi na milega tumhe is baat ko hamre jane ke baad yad karoge tum
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Sirf Tum
wqt mila to samjha denge tumko sanam kitna pyar karte hain tumse hum hamari wafa na kahin bewafai banjaye kabhi karte hain ye hi dua sanam dil ki dhadkane sayad ho jaye band par dil se juda na ho paogi tum kabhi ajmana chaho to hume haskar hamari jaan mang lena par bhul kar bhi kabhi bewafa na naam dena aakhri sans tak aitwar karenge mar bhi gaye to band ankhon se tera didar karenge wqt ne jo kabhi hamse bewafi samajhna hamri sanse hain kam par jab tak hai mahobat hamari arjoo ho sirf tum
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Kabhi Kabhi
Kabhi-kabhi yeankhe kuch kehti hain par koi samajh nahin paata Kabhi-kabhi hum kuch kehna chahte hain par lafzon ka sath nahin mil pata Kabhi-kabhi insane behak jata hai jab use kisi se pyar ho jata hai Kabhi-kabhi insan udas ho jata hai sayad uska kuch kho jata hai Kabhi-kabhi insan kuch aisa kar jata hai jiske liye use sari umrr yad kiya jata hai Kabhi-kabhi insan kuch aisa kar jata hai jiske liye wo sari umrr pachtata hai Kabhi-kabhi hame wo mil pata hai jo hum pana chahte hain Kyuki ye jaruri to nahin hame hamesa wahi mile jo hum pana chahte hai Isliye������������������������� Kabhi-kabhi
yadon se kehdo akele na aaya kare agar mumkin hua kare to Kabhi-kabhi unhe bhi sath laya kare
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Agar Mumkin Hota
agar mumkin hota to hum apse sare gam kharid lete
badle main apko apni sari khusiyan de dete
kabhi ayena apki ankh se ansu
iski rishwat hum khuda ko apni jaan de dete
na samjho ise pagal pan
ye mere ishk ka junoon hai
aaj jate ho dil tod kar mera par
bhula na sako ge ye mere dil ko yakin hai
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Ab Mai Tanha Jeena Chahata Hoon...........
Haan, ab main tanha jeena chahata hun
sab kuch bhula kar khud se milna chahata hun
zindagi bahut gum diye tune
ab tujhse mil kar hisaab karna chahata hun
aisa nahi ki rishte saare main tor dunga
sab apno ko main chod dunga
par kisi se ab koi shikayat na hogi
wo pehli si chahat bhi na rahegi
ab hawa sirf mere liye chalegi
baarish ki bunde sirf mere liye girengi
sawan mein ab kisi ka intezaar na hoga
tanhayee mein bhi kisi ka sath na hoga
ye chiraag ab sirf mere liye jalenge
udas raaton ko roz nai subah ka intezar na hoga
betaab nigaahon mein kisi ka khayaal na hoga
khaali dil mein kisi ka armaan na hoga
zindagi jahan tu le chale ab main chal dunga
dard ke nishaan sabke dilon par chod dunga...
|
|
| | |
|
|
|
|
|